Showing posts with label poetry. Show all posts
Showing posts with label poetry. Show all posts

Saturday, January 16, 2010

How the Time Flies

Muhabbat Jhoot hai…

Muhabbat Jhoot hai…

“Ahed-e-WAFA” ik shughal hai bekar logoon ka
“Talab” Sookhey huye patoon ka be ronaq jazeera hai
“Khalish” Demak zada awraq per
Bo'seeda satroon ka zakheera hai

Chaloo choro!

Ke Ab tak main andheroon ki
Dhamak main saans ki Zarboon pe
Chahat ki bunyad rakh ker Safer kerta raha hoon
Mujhe ehsaas hi kab tha…
Ke Tum bhi mousmoon ke sath
Apnay pairhun ke rang badloo gay…

Chaloo choro!

Maira hona na hona ik baraber hai
Tum apnay haal-o-hud ko Aiynay main phir bikhrnay do
Tum apni ankh ki basti main phir se ik naya mousam utarnay do
“Mairay Khawaboon ko Murnay do”

Chaloo Choro!
Muhabbat Jhoot hai…!

Tum Ko Chaha Hey Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke
Dunya To Hai Eik Sarab Is Ke Siwa Kuch Nahi......!

"Alfaaz ki taqrar main kiya rahka hai"

"Alfaaz ki taqrar main kiya rahka hai"




Alfaaz ki taqrar main kiya rahka hai.
Be rabt jumloon ke iqrar main kiya rahka hai.

Zinda diloon ki cha se nizam badla hai.
Murda dilon ki pukar main kiya rahka hai.

Jab tera dil hi ho mubtilaye-e-shirk.
Tu sajdoon ki taqrar main kiya rahka hai.

khud kafeel hai na wasayl pe tasurruf hai tera.
Ase main teri bhooki lalkar main kiya rahka hai.

mutebir kehlwane waloon khabi mehsoos karo.
bhook se machalte bache ki pukar main kiya rahka hai.

Insan hona fahkhar hota agar tug mai insaniyat bi hoti.
in lambi taqreeron or jhoote afkar main kiya rahka hai.

Tere piyar or jazbat par mshkoor hon sagar.
Dunya kehti hai pagal tere inkar main kiya rahka hai...........

Khat Mein Likha Kisi Ne Haal-E-Dil

Khat Mein Likha Kisi Ne Haal-E-Dil



Khat mein likha kisi ne haal-e-dil
Izhaar-e-mohabbat ki bhari mahefil
Khat mein likha kisi ne haal-e-dil
Izhaar-e-mohabbat ki bhari mahefil

Liya jo kisi ne ada se mera naam
Dil ki arzuon ko mili manzil
Khat mein likha kisi ne haal-e-dil
Izhaar-e-mohabbat ki bhari mahefil

Uthti thi ashqon ki lahar ankhon mein
Kisi ke bahon mein mili inhe sahil
Khat mein likha kisi ne haal-e-dil
Izahaar-e-mohabbat ki bhari mahefil

Ho kami agar wafa na ho jana khafa
Meri chahaton ko bana lena qabil
Khat mein likha kisi ne haal-e-dil
Izhaar-e-mohabbat ki bhari mahefil

Chand lamhe hi sahi judai ke ab
Ye lamhe hi dekho bane hai qatil
Khat meib likha kisi ne haal-e-dil
Izhaar-e-mohabbat ki bhari mahefil

Yaadon ke sahare hi jeete the ab tak
Yaadon se bhi nahi sukun hasil
Khat mein likha kisi ne haal-e-dil
Izhaar-e-mohabbat ki bhari mahefil

Gile shikwen karna apni fitrat nahi
Zindagi aa humse mohabbat se mil
Khat mein likha kisi ne haal-e-dil
Izhaar-e-mohabbat ki bhari mahefil

Haal-e-dil humne bhi kar diya aam
Har ehsaason mein khwahish shamil
Duniya samajh na le isse sirf ik khat
Yeh khat ban chuka hai mera dil

Khat mein likha kisi ne haal-e-dil
Izhaar-e-mohabbat ki bhari mahefil...

Ye dil tujhe inti Shiddat se

47ae11b2905a71modified.jpg picture by shaheenz

Hosuktahay04.jpg picture by Ali_awan_Ali17

Ye dil tujhe inti Shiddat se !!

Ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai

Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle
Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai

Yuh to hai kayi fasle tere mere bich
Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai

Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri
Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai

Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse
Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye
Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai

Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine
Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai

Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din
Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai

Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai
Kamsin ko akhir wo itna satata kyu hai

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai...

بھلا تو نہ دو گے

کہو اپنے وعدے وفا تم کرو گے
جو کھائی تھیں قسمیں بھلا تو نہ دو گے

مجھے بھی اُسی سمت جانا ہے ہمدم
میں تیار ہو لوں، ذرا سا رکو گے

میری بات چھوڑو، کچھ اپنی سناؤ
مرے غم کی روداد کب تک سنو گے

مجھے تم سے مل کر خوشی جو ہوئی ہے
مری اس خوشی کو مٹا تو نہ دو گے

بھلا وقت تھا تو مرے پاس تھے تم
برا وقت آیا تو کیا ساتھ دو گے

مجھے وقت نے کچھ بدل سا دیا ہے
کہیں گر ملو گے تو پہچان لو گے؟

mailfon.gif picture by Ali_awan_Ali17

Sanam.gif picture by SanaM3

Jaaneee Kyoooooooooooooon ............

Jaane kyon Log kaam karte Hain
Jaane Kyon woh office mein marte hain
Jaane Kyon Jaane kyon
Jaane Kyon Jaane Kyon Jaane Kyon

Kaam mein sochiya to bas gum hai
kaam mein jo zulam ho woh kam hai
kaam par sar jhukana padta hai
dukh hoka muskurana padta hai

zehar kyon zindage mein bharte hai
jaane kyon log kaam karte hain
jaane kyon jaane kyon
jaane kyon jaane kyon jaane kyon

Kaam bin jeene mein rakha kya hai
kaam jisko nahi woh kadka hai
kaam sau ki note laata hai
kaam hi pet bhar khilata hai

log mar mar ke kaam karte hai
jaane kyon khush rehte darte hai
jaane kyon jaane kyon
jaane kyon jaane kyon jaane kyon

kaam ek badi musibat hai
kaam har kisi ki zaroorat hai
hoooo kaam pe yeh jhooth hai sachche

arre kaam pe sab jhooth hai achche

hooo aage kya khak log badhte hai

ek hi post par woh sadte hai

Jaane Kyooooooooooooooooo oooooon.. ..



KAAM TOH AISE HI SAB KARTE HAI

JAANE KYON AAP HI MUKARTAY HAI

JAAAANE KYOOOOON JAAANE KYO


Reply us if like our mails
Sugession are most welcome



~: punJABI:~

Ik dua di aas ch saari raat jaage
par koi taara ambro tutya na

Chura ke nazar langh gaye kolo di
ohna haal vi saada puchhya na

Badi muddat ton reejh si kujh aakhan di
par koi manya na koi rusya na

Assi dil tey hath rakh takde rahe
ohna da turda kadam koi rukya na

Ohna de bullaan te haase khid de rahe
tey saade nain’o paani sukhya na

Ik milan di aas rahi dil vich
tey issi aas ch jeevan mukya na

Bhigi Bhigi Raat Main

Bhigi bhigi raat main

Rimjhim ki barsaat main

Aaa ja mere sathiya piyar ham kareen

KHUDA kare yeh ghata aur tuut kar barse

Main dekhta hi rahoon aaj tuj ko jee bhar k

Dil ka rishta joor k sari duniya choor k

Aaaa ja mere sathiya piyar ham kareen

Nazar se chumne do aaj in sitaron ko

Badan se lipte huwe shabnami shararon ko

Rimjhim k is raag main thandi dhandi aag main

Aaaa ja mere sathiya piyar ham kareen

Hazaar ratoon pe bhari yeh raat ho jaye

K lab hileen bhi naheen aur baat ho jaye

Halchal hay aarman main masti k tufan main

Aaaa ja mere satiya piyar ham kareen,,,

Thursday, January 14, 2010

Main bhi ab apni hi baaton sy mukr jata hoon

وسعت دشتِ حجر دیکھ کر ڈر جاتا ہوں

تجھ سے آگے کا سفر دیکھ کر ڈر جاتا ہوں

روز ڈھلتے ہویے سورج کی طرح شام گیے

میں بھی اک درد کے دریا میں اتر جاتا ہوں

وہ بھی چھپ چھپ کے بیٹھ کر کہیں روتی ہوگی

میں بھی راتوں کو ذرا دیر سے گھر جاتا ہوں

میں نے بھی جرمِ بغاوت کے ستم جھیلے ہیں

میں بھی اب لوگ جدھر جاییں ادھر جاتا ہوں

چل پڑا ہوں میں دنیا کے اصولوں پر وصی

میں بھی اب اپنی ہی باتوں سے مکر جاتا ہوں

Best Poem by a Kid (A Heart Touching Poem)

Hoon Ajeeb KashmaKash Mein

MARI ZANDGI

Hoon Ajeeb KashmaKash Mein
hoi zandgi purahi.................
mary pass tari yadain...........
tary pass bawaffai...............
mary dil ko tou na cheena.....
mari preet jug na louti...........
mara dil b ha purayya...........
mar pureet b hoi paurahi........
tujy khwab ma hi dakhoo.......
ya barham b aj totta............
tary khwab kasy dakhoon......
mujy neand hi na ahyi...........

(( Mujjh Se Khfaa Ho Ke ))






Mujjh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai

Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai

Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mo'atbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Kahayl Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Hai

Sunday, January 10, 2010

**!Phir Chale Jana!**!*


Sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana

Jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone mein
Usse poori tarah se tum bhula do phir chale jana

Ye saare paerrh pode tere bin ek rut jage hue
Tum aa ke aik baar inko sulado phir chale jana

kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum usko mitado phir chale jana

Bus itni si hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikha do phir chale jana

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne ma'ani se
Bus in alfaz-o-ma'ane ko mita do phir chale jana

Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai...
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana...

Mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho..
Mujhe tum doosra unwaan laa do phir chale jana...!!