Sunday, January 10, 2010

**!Phir Chale Jana!**!*


Sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana

Jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone mein
Usse poori tarah se tum bhula do phir chale jana

Ye saare paerrh pode tere bin ek rut jage hue
Tum aa ke aik baar inko sulado phir chale jana

kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum usko mitado phir chale jana

Bus itni si hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikha do phir chale jana

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne ma'ani se
Bus in alfaz-o-ma'ane ko mita do phir chale jana

Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai...
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana...

Mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho..
Mujhe tum doosra unwaan laa do phir chale jana...!!

No comments:

Post a Comment