Udaas Shamain Ojhaar Raste Kabhi Bulayein To Lout Ana,
Kisi Ki Aankhon main Ratjagon Ke Azaab Ayein To Lout Ana..
Abhi Naye Wadioun Naye Mousamon Main Reh Lo Meri Jaan,
Ye Sare Eik Eik Ker Ke Tumhain Choor Jayein To Lout Ana.
Jo Shaam Dhalte He Apni Apni Panahgahon Main Lout'te Hain
Ager Wo Panchi Kabhi Koi Dastaan Sunayein To Lout Ana.
Naye Zamane Ka Karb Orhe Zayeif Lamhe Nidhal Yadain
Tumhare Khawabon Ke Band Kamre Main Lout Ayein To Lout Ana.
Main Roz Younhe Hawa Pe Likh Likh Ker Us Ki Janib Bhejta Hon
Ache Mousam Ager Paharon Pe Muskurayein To Lout Ana.
Ager Andhron Main Bhol Ker Tum Ko Chor Jayein Tumhare Sathi
Or Apni Khatir He Apne Apne Diye Jalayein To Lout Ana.
Mere Wo Batain Jin Pe Beikhtiyaar Hasnta Tha Khilkhila Ker
Bichrne Wale Meri Wo Batain Kabhi Rulayein To Lout Ana

zahoor
No comments:
Post a Comment