


muje darya nahin likhna muje sehra nahin likhna
tasalsul se safar main hoon muje thehra nahin likhna
purane rabton ki rakh abhi tak dil main baqi hai
meri jalti hatheli per naya waada nahin rakhna
anaa se jeet kar usko agar jo main ne khoya hai
mera naghma nahin likhna mera noha nahin likhna
bisaat-e-zindgi ki aakhri sarhad pe khara hoon
muje faateh nahin likhna muje mohra nahin likhna
gawahi apne dil se lo tumhara dil kia kehta hai
muje jhoota nahin likhna muje sacha nahin likhna
tumhari ankh main gar main kabhi chup chap jal jaaon
tum apni ankhon main laikin mera sadma nahin likhna
main uski yaad main gum hoon k apna aap main gum hoon
muje mehfil nahin likhna muje tanha nahin likhna
main apne lafzon ki shohrat tumahin de jaaon ga laikin
muje mash,hoor mat karna mera charcha nahin likhna
ye na ho kabhi mujko mitana chaho... na mitoon
muje apna samj lena magar apna nahin likhna
meri ankhon main batain hain magar chehre pe gehri chup
meri ankhon ko likh dena mera chehra nahin likhna
kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jaae
mera dukh dard likh dena magar gehra nahin likhna

No comments:
Post a Comment