Saturday, January 16, 2010

"Alfaaz ki taqrar main kiya rahka hai"

"Alfaaz ki taqrar main kiya rahka hai"




Alfaaz ki taqrar main kiya rahka hai.
Be rabt jumloon ke iqrar main kiya rahka hai.

Zinda diloon ki cha se nizam badla hai.
Murda dilon ki pukar main kiya rahka hai.

Jab tera dil hi ho mubtilaye-e-shirk.
Tu sajdoon ki taqrar main kiya rahka hai.

khud kafeel hai na wasayl pe tasurruf hai tera.
Ase main teri bhooki lalkar main kiya rahka hai.

mutebir kehlwane waloon khabi mehsoos karo.
bhook se machalte bache ki pukar main kiya rahka hai.

Insan hona fahkhar hota agar tug mai insaniyat bi hoti.
in lambi taqreeron or jhoote afkar main kiya rahka hai.

Tere piyar or jazbat par mshkoor hon sagar.
Dunya kehti hai pagal tere inkar main kiya rahka hai...........

No comments:

Post a Comment